Aurat Masjid Jamat me Shirkat Q Na kare ?
Suwal: Nabi e kareem ﷺ ke zamane me aurate bhi jamat me shirkat karti thi,
aajkal ke gande mahol me aurato ko jamat me sharik na hona hi behtar he,
lekin aurato ko jamat me sharik na hone ki bandish kis ne lagayi,
Qk huzur e akram ﷺ ne to mana nahi farmaya tha?
Jawab: Bandish to kisi ne nahi lagayi, ab bhi aurate baaz jagah jati he,
lekin hazraate fuqaha ne fitne ke khof or fasade zamana ki bina par unke jane ko makruh qarar diya he.
Sahih bukhari, muslim,mu’tta imam malik or abu daud me hazrat aaysha rz ka irshad he ke Aurato ne aan-hazrat ﷺ ke baad jo nayi surate ikhtiyar kar li he,
agar aap un ko dekh lete to unko masajid me aane se mana kar dete,
jaisa ke banu israeel ki aurato ko mana kar diya gaya tha.
-(jamiul usool:11/201)